Chadar ki ijjat karta hu Ali Zaryoun Poetry

Chadar ki ijjat karta hu,aur parde ko maanta hu,
Har parda parda nahi hota itna mai bhi jaanta hu.
Saare mard hi ek jaise hain tumne kese kehh daala?
Mai bhi to ek mard hu tumko khud se behtar maanta hu.
Mujhko pta hai wo gusse me kiss hadd tak ja sakti hai,
Apni zuban pe kaabu rakho mai usko pehchaanta hu.
Maine usse pyar kia hai milkiyat ka dawa ni,
Wo jiske bhi sath hai mai usko bhi apna maanta hu.

Comments

Popular posts from this blog

Use kisi se pyar tha aur wo mai nahi tha Ali Zaryoun with durgesh mixed poetry.

लबों से लफ्ज़ झड़े, आंख से नमी निकले,ग़ज़ल तहज़ीब हाफी जी।